Computer/ leptop ki speed badhane ke 10 best tips

doston aapne  dekha hoga ki ap jb naya computer kharidte hai to apke computer ki performence bahut tezz hoti hai wo kisi bhi file ko kholne me jyada time nahi leta par dheere deere apka computer   koi bhi kam ko karna bilkul slow kar deta hai aise me ap use formate karne ki sochne lagte hai aur kisi computer shope pe jakar ya apne hi ghar pe use formate kar lete hai   isse to fast to ho jata hai but kuch hi time ke liye to aise me  ap sochte hai apka computer purana ho gaya hai lekin dosto aisa kuchh nahi hai apko jarurat hai uski thodi si care karne ki wo kaise?? to aaj me apko batata hu ki kaisa aapko in diye gaye 10 tariko se apne computer ki speed ko badha sakte ho.

1.   C: drive ko khali rakhein-  dosto aksar hum jaldwazi me  apne computer me koi bhi file ko kahin bhi store kar dene hain ya fir internet se kuch bhi  download kar lete hai jo seedhe apke computer ki C: Drive  me ja kar save ho jata hai aur yahi computer ke performence  ko slow banata hai to doston apne computer ki C drive to khali rakhiye aur apne desktop ko bhi clean rakhiye desktop par koi file save karne se wo file C: Drive me jakar save hoti hai aur apne computer ke downlaods me ja kar apni file ko kis dusri Drive exmple D: E: F: mein save kar lein jisse apke computer ki disk Full na ho..
(c:) drive is full
2. Clean temporary files and prefetch -   computer ke slow hone ka ye bahut bada karan hai ki temporary file apne computer ki performance ko slow kar deti hai  jisse kisi bhi application ko late star hone me toda time lagta hai ye temporary files internet chalane, kisi bhi prakar ke softwere par kam karne se banti hai aur adhik mantra me hone ke karan apka computer slow ho jata hai to ap inko clear kar dein 
*How to clean temporary files-  Click Window key+R  button on keyboard and type %temp% and press enter and select all file sand press SHIFT+Delete :)

* How to clean prefetch files-  Click Window key+R buttion on keyboard and type Prefetch and select all files and press Shift+delete  :)
1

2

3 Cleaner ka use karein-  doston computer slow hone ka karan sirf  disk full nahi hota ap apne computer leptop par internet ka use Brousers ke through karte hai jaise Google Crome, Firefox, Internet Explorer, Operamini etc. to in sab me apke dwara search ki gai search histry save hoti hai aur catch file aur bahut sari useless files  store hoti chali jati hai aur apka internet bhi slow work karta hai kisi bhi page ko kholne me to ap Cleaner ka use karke apne computer ko clean rakh sakte hai Cleaner ko Download karne ke liye yaha click karein. Cleaner - Download
4. User Disk Cleanup-  computer ki disk ko clean karna bahut jaruri hai ye koi softwere nahi hai friends ye apke Operating system ka ek hissa hai ise use karna bahut aasaam hai sabse pehle ap Start menu par click karein fir  search box me type karein  Disk Cleanup  aapko starting me hi disk cleanup nam  dikh jayega ap use open kar lein.
* Ab apke same disk cleanup ka ek choti hi window khulegi jise ap sabse pehle C ko select kar lein  ok kar dein bad me 2 ya 3 par bhi aise hi kareing
* ap apke samne C ki puri useless files show hone lagegi ab apko  ok par click kar dena hai. aur fir apse pucha jayegi ki  delete kare to delete par fir click dein dosto agr apka computer thoda purana hai to disk clean hone me toda time lagega.

 5.  CPU (Central processing unit) or RAM ( Random access memory)-   doston ap bhale hi apne room ko kitna bhi saaf rakhte ho par fir bhi usmein kachara (dust) aa hi jata hai aise me  apke computer or cpu par dust lagna to normal si bat hai to aise me apko usko ek side se nikal kar ek sooti kapde se uske RAM ko rubber se saaf kar lena chahiye or  CPU ki poori dust Dust Cleaner Fan se nikal deni chahiye. 
6. Use Antivirush- apko apke computer ki lonng life ke liye antivirush ka use karna bahut jaruri hai antivirush apke computers ko hackers, malwere, aur virush se bachata hai to apke computer ki memory ko khatam karte hai aur uski proccess ko slow kar dete hai.
7. unstall unnecessary softwere-  apne computer se  bina kam ke softwere gedgets ko turant hata de ye apke computer se start hone ke sath hi shuru ho jati hai aur apna computer slow kam karta hai ye thik rahega ki ap apne computer se badi files aur  bina kam ki files ko turant hata dein,

8. Clean recycle bin-  ap apne computer se kisi bhi badi file ko delete karege to wo recycle bin me ja kar store ho jati hai wo delete nahi hoti ap  file to delete karne se pehle shift ke sath delete button ko press karein jisse wo recyclebin me na jaye ya fir apna recyclebin clean kar lein.


9.Stop background apps- dosto jab aap apna computer start karte ha to kai aise softwere apne  computer me run hone lagte hai jo apko nh dikhte aur apke kisi kam ke nahi hote inhe ban karne ke liye apko Ctrl+Alt+delete  button press karna hai fir apke samne ek window khulegi jisme  sabse neeche Start Taskbar par click kar dein click karne ke bad apke samne ek window khulegi jisme   proccess  par click karna hai fir us application par click karna hai jo apke koi kam ki nahi hai fir end task par click kar dena hai
1
2

10 Dont Use HD games aur Animation Wallpapers-  apne computer ko hi-tech banane ke chakke me ap internet se  hd wallpapes, animation wallpapes aur hd games downlaod kar lete hai iska seedha  prabhav apne computer ki RAM par padta hai aur apke computer ki speed process slow ho jati hai.
*Aur bhi Behtar jankari ke liye humare ye video dekhna na bhulein.

Computer/ leptop ki speed badhane ke 10 best tips Computer/ leptop ki  speed badhane ke 10 best tips Reviewed by jeet on September 26, 2017 Rating: 5

3 comments:

Thanks For Your Comment ..... :)

Powered by Blogger.