Paytm Savings Account Banane Ki Jaankari.!


Hello dosto kaise hai sab aaj me aapko batane ja raha hu ek aisi yukti jisse aap Online Shopping, Online Bill Pay sb kar sakte hai

Doston  agr aapke pass kisi bank ka Account nahi hai ya fir  Us bank ka ATM Card nahi to ye to bahut badi dikkat hai doston...  lekin agr aapke pass Paytm Account hai to ap open kar sakte hai apna Savings Account bo bhi 5 Mnts me or jiske sath aapko Milega  ek Rupay ka Debit Card  doston Blogg  par uski process thodi lambi hai agr agr ap step by step dekhe to bahut jaldi Apna Account bana sakte hai


Note- Paytm ki Koi bhi jankari apne kisi dost ya kisi ko bhi call ya sms se na dein...!
 Step-1  aapko aapke mobile se Paytm App downlaod karna hai agr apke mob. me pehle se hai to use open karna hai fir aapko aapka UserId   me Registered Mob no  dalna hai aur  Password dalna hai agr apko password nahi pata to aap apne Registered mob se paytm ko call karein..


Step2-  login  karke ke baad aapka Paytm account open ho jayega ab aapko apni Profile par click karna hai  aur apke samne do new option dikhege Dosto ye saving account kholne ke liye aapke pass Pancard  hona jaruri hai aur apka Aadhar Card eKYC  hona jaruri hai iski jankari ap mujhse comment box me puch sakte hai  yadi apka Paytm account AadharCard se banaya gaya to apko EditProfile par click karke apka Naam mobile No chek karna hai aur  wapas profile pe click karna hai jisse apka Naam display par show hone lagega..
Step3-  Dosto apko apka  PanCard No  dena jaruri ho gaya hai har bank me apko apna account secure karne ke liye ye dena jaruri hai  to Pan no  update kare aur  ye karne ke bad apko Open Account par click karna hai... :)

Note- Secaurity  ke liye aapko ek 4 digits ka PAYTM PASSCODE set karna jaruri hai ye apse bar bar pucha jayega..

Step4- Passcode set karne ke baad apka profile kuch is tarah dikhega... ab apko Open Account par click karna hai 


Step-5  Agr apse PanCard No ya OTP( one time password ) ya  Paytm passcode  jo apne abhi 4 digits ka banaya hai puchha jata hai to submit karein..

Step-6 Ab apko Add Nominee ka ek  page khulega  agr aap koi nominee nahi chahte to  I do not want add a nominee  par Click kare ya fir chahte hai aapka koi nominee ho to  I want add a nominee par click karein  uske baad  age proced krne pe aapko congratulations  your saving account will be  opened in a fiew minutes  ka  messge aapki screen par show hoga  jiski jankari aapko aapke registered mobile pe messge ke dwara mil jayegi  ab aapko kuch nahi karna bs  Done  par click karna hai...  

Step7- Ab aapse unlock karne ke liye password puchha jayega apke samne ek page khulega jisme sabse upr  Passbook  likha hoga jaise is picture me dikh raha hai  ab aap scroll down karege to usi page pe aapko My Rupay Card  karke ek  text  dikhega   uske neeche aapka  debit card hoga aapko View/Manage Card  par click karna hai  aur  fir wo paytm passcode dalna hai jo aapne pehle suru me create kia tha

Step8-  Doston  ab Continue To Passbook  par click karna hai  fir scroll down karne pe aapko Unlock Card  par click karna hai  fir se paytm passcode dalna hai fir  View/Mange Card par click karna hai  uske bad View Details par click karna hai fir wahi passcode dalna hai  ab aapko SBI ya Other ATM card jaisa dikhne wala ek  Rupay ka card show hoga jismein  aapko  apka 16 digits ka  DebitCard No,  Expiry Date, Month, Cvv No  dikhege  jiski help se aap online shopping, payments bill pay kar payege ye sabhi websites par allow hai :)

Notic- Dosto apne Account ki Details kisi ko share na karein......


Paytm Savings Account Banane Ki Jaankari.! Paytm Savings Account Banane Ki Jaankari.! Reviewed by jeet on September 24, 2017 Rating: 5

No comments:

Thanks For Your Comment ..... :)

Powered by Blogger.