Android mobile ko hang hone se kaise bachayein?

hello dosto aaj me aapse aise searias topic par bat karne ja raha hu jis par ap apne dosto se vichar karte hai ki yaar mera mobile bahut hang hota hai me kya karun jisse mera mobile achcha chale aur apke dost kehte hai bhai ye to bahut purana ho chuka hai ab naya lele asal me dosto aisa  kuch nahi kai jis tarh se insaan ko jarurat se jyada khana khila diya jaye aur fir usse jyda kam karwaya jaye to wo bhi  hang ho jayega isi tarah hota hai mobile aksar hum usko iski jarurat se kai jyada apps se less kar dete hai aur  kayi tarah ki chize apne  mobile me dal  dete hai jisse apka mobile hang hona shuru kar deta hai ab me apko batauaga ki kaise ap apne  mobile ko hang hone se bacha sakte hain

1.  Adhik Der Tak Games  Khelne Se-   dosto agr aap apne android mobile me high graphics wale games khelte hai to aapka mobile tezi hai heat hone lagta hai aur aapka mobile hang hone lagta hai jise uski sari applications Ram par load hone ke karan  deri se kam karne lagti hai aur majuran apko apka mobile restar karna padta hai 

* Bachaw-  dosto apne mobile me bade size ke aur high graphics ke games downlaod  na karein or ha hi unhe khelein agr aapko game khelna pasand hai to ap TempleRun jaise games khel kar unhse uninstall kar dein ap uski file ko apne mobile mein rakhein. 

2. Storage Full-  apke mobile me kitne bhari file kaha kaha se jama hone lagti hai aapko bhi nahi pata aise me ap pareshan ho jate hai ki kaise ap  inse peechha chhudayein aur apne mobile ki performance ko achcha  banaye rakhein.


* Bachaw-  whatsapp, facebook aise social networiking site se ya apps  me autometic aisi setings hoti hai ki jaise hi ap apna  net on karte hai to apke phone me  kisi bhi group se apne ap videos aur images download ho jati hai aur apke mobile me jagah bana leti hai  inse bachne ke liye apke  whatsapp aur facebook ki settings me jakar  unke auto downlaod ko band kar dein... Aur apne mob me Google Play Store se Clean Master  app Downlaod kar lein ya fir is link se Download kar lein aur roz apne mobile ke cach aur temporary files ko clean karte rahein..
1. Clean Master Google Store - Download 
2. Clean Master Direct Downlaod- Downlaod


3. jarurat se jyda app rakhna- apne mobile me jarurat se jyda apps rakhne se uski RAM par bahut dabab padta hai aur uski  speed slow ho jati hai kabhi kabhi to jarurat ke time par  sare Apps kaam karna band kar dete hai jiss apko pareshani hoti hai aur ye kabhi kabhi apko chidchida bana deti hai.

*Bachaw-  utne apps hi apne phone me use kare jitne kaam ke ho  bake ke apps ko apne phone se uninstall kar dein jitna apke mobike ki RAM free rahegi wo utna  hi achchhi speed dega facebook  app ki jagah facebook lite use karein aur Facebook messanger ki jagah facebook messanger lite ka use karein jisse apke moblie ki storage  jyada rahegi.

COMPUTER/ LEPTOP KI SPEED BADHANE KE 10 BEST TIPS

 Computer/Leptop ki speed badhane ke 10 Best Tips

कैसे अपने कम्‍प्यू्टर की लोक स्‍क्रीन का बैकग्राऊंड फोटो बदलें ?

4. Mobile ke girne se- doston apka mobile bhi ap hi ki tarah hai human to nahi par wo ki matchine hai yahi ap kisi acciedent me gir jate ho to apka mobile toot jata hai  jisme uske andar ke Chips processor aur ram ko bahut nuksan hota hai aur wo apni jagah se dishbalance ho jate hai  aur yahi apke mobile ke hang hone ka karan banta hai.

*Bachaw-  apne mobile ki screen ke upar achchhe Temper (Screen Guard) ka use karein usko achche se cover me laga kar use protection dein jisse ki agar  apka mobile gire ho uske bheetari bhaago me jyda nuksaan na ho

5. Kam Time Mein Jyda Notification Aana-  aap jab bhi apne mobie me internet on kartehai to  aapke mobile me facebook whatsapp ke behisaab notifications aane lagte hai    Friends ke aur  kayi saare groups ke ye sabhi  aapke mobile ki processing system ko Down kar dete hai jisse  apke mobile ko hagging ki problome hone lagti hai...

* Bachaw-   Facebook, Whatsapp ki Notifications ko band kar dein aur  net on karne ke turant baad  hi uska use na karein use todi der baad chalaye..

Thanks


Android mobile ko hang hone se kaise bachayein? Android mobile ko hang hone se kaise bachayein? Reviewed by jeet on September 29, 2017 Rating: 5

2 comments:

Thanks For Your Comment ..... :)

Powered by Blogger.